KHUDA NA KHASTA – ARIJIT SINGH ( ONE BY TWO)

Khuda Na Khasta Lyrics from One by Two (2014) sung by Arijit Singh. This song is composed by Shankar-Ehsaan-Loy with lyrics penned by Amitabh Bhattacharya.


One by Two movie stars Abhay Deol, Preeti Desai. And directed by Devika Bhagat. One by Two releases oN 31 JANUARY 2014.

Khuda Na Khasta lyrics

Tukdon ki yeh, tasveer hai
Tukdon mein bhi lekin, haseen tehreer hai
Kehno ko in, kehe lijiye
Tewar bhari, jewarnuma yeh zanzeer hai
Yeh zindagi jua hai
Kisko yakeen hua hai
Baaziyaan namunasib kahin, pad jaaye na
Ikk tarfaa safar ke
Lab pe yahi dua hai
Kahin na gawara modh koi mudh jaaye na
Khuda na khasta, khuda na khasta
Kudaya khair kare, khuda na khasta
Ik haath mein, saugaat hai
Aur doosre mein, ranjishein hai jazbaat hai
Na jaane kyun, iske liye
Kohraam mein kuch itt minaan si baat hai
Yeh zindagi dhuaan hai
Kisne ise chua hai
Titliyon ki tarah shokh hai
Udd jaaye na
Ikk tarfa safar ke
Lab pe yahi dua hai
Kahin nagawara modh koi mudh jaaye na
Khuda na khasta, khuda na khasta
Kudaya khair kare, khuda na khasta
(o… jeene ko jo aashiyaana, miyabaad hai)
(hooo… palta ussi aashiyaane mein toofan hai)
Saaiyaan…saaiyaan…
Itni silwatein, maazi mein padi
Jeene ki wajah, unse thi badi
Ho zaaya baat kyun, shikwon mein kare
Adhoori hasratein, darr pe hai khadi
Ho yeh zindagi nasha hai
Takleef mein maza hai
Iski fitrat mein hi jung hai, chidd jaaye na
Ik tarfa safar ke
Lab pe yahi dua hai
Kahin nagawara modh koi mudh jaaye na
Khuda na khasta, khuda na khasta
Kudaya khair kare, khuda na khasta
Khuda na khasta, khuda na khasta

No comments:

Waplyric.blogspot.com. Powered by Blogger.